Friends & Friends
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Hazret Ishaq (A.S)

2 posters

Go down

Hazret Ishaq (A.S) Empty Hazret Ishaq (A.S)

Post by RM 15th August 2008, 4:11 pm

quran e paak mein hazrat ishaaq ka itni detail se zikr nahi dya gyaa ...hazrat ibrahim ke do bete the hazrat ismayil jinki aulaad ehle arab the aur hazrat mohammad saw unki aulaad mein se aik hi nabi hue hai aur baqi sare anbiya hazrat ishaq ki aulaad mein se huey hain ..isiliyay yahood ka kehna ke qurbani ki saayadat hazrat ishaaq ko nasib hui lakin yeh ghalt hai kuon quran isbaat ko ghalt sabit kartaa...
hazrat ishaq hazrat ibrahim ke chote bete the...jo ke saira khatoon ke bete the ..inki paidaish mujzana toor pe hui thi..jab hazrat ibrahim alyeh salam hazrat ismayil ki qurbani ke liyay ghay the tu ALLAH NE HAZRAT ishaq ki basharat sunai thi.
"aur humne aik bari qurbani ko inka fidya dya "(ayah 107-surah 37 asafat)
"aur humne inko ishaq ki bisharat bi di ke woh nabi aur naiko karoon mein se hain"(ayah 112-suurah safat)

hazrat ibrahim alyeh salam ki umr uswaqt 100 baras aur saira khatoon ki umr 90 baras thi jab ALLAH ne un dono ko yeh khushkhabri di..un dono ko us umr mein aulaad ki bilkul koi umeed nahi thi jab hazrat jibrayil alyeh salam tashrif layay aur unhe aik naik aur burgzeeda bete ki khushkhabri sunai..tu hazrat saira yeh sunke has pari ke is umr mein woh aik bache ko kaise janam desaqti hain.

"auri brahim ki beevi jo paas khari thi has pari tu humne isko ishaq kiaur ishaq ke baad yakoob ki khushabri di"(ayah 71 surah 11 hood)
"usne kaha ke ab mere bacha hugha mein tu burya hunaur mere miyan bi burhape ko puhunch chuke hain yeh tu bari ajeeb baat hai(ayah 72_surah hood)
"unho ne kaha ke kya tum ALLAH ki qudrat se tajub karti hu ?eh ehle bait tum par khuda ki rehmatein aur uski barkatein hain.woh sadawar tarif aur buzurgwar hai".(ayah 73 surah hood)

hazrat ishaq ki shadi 40 baras ki umr mein rebbecca se hui .unke do bete the hazrat yakoob aur esau .jab hazrat ishaq burhape ko puhnche tu unki benai chali gai..aur 180 saal ki umr mein woh hebron mein wafat pa ghay..aur unhein hazrat saira aur hazrat ibrahim ke sath hi dafnaya gya.

RM

Number of posts : 156
Registration date : 2008-08-07

Back to top Go down

Hazret Ishaq (A.S) Empty Re: Hazret Ishaq (A.S)

Post by BARF GIRL 14th October 2008, 3:06 am

JazakAllah khair...
BARF GIRL
BARF GIRL
Admin

Number of posts : 271
Age : 39
Location : ||=IN D3AD SOUL=||
Job/hobbies : Painting,Reading,Writing,
Registration date : 2008-10-14

Back to top Go down

Back to top


 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum