Aaj Phir Rona Har Baat Pe Aya..
Page 1 of 1
Aaj Phir Rona Har Baat Pe Aya..
Teri yaad ai phir bin bulaye
tere na honei ka kheyaal aya
aaj phir mein tanha bethi
aaj phir rona har baat pe aaya
tu ja chukka hai dil ko samjhaya
younhi bewaja khud ko behlaya
bahaar aai, har janib hain phool khilley
pholoun ne bhi beeta zamana yaad dilaya
neeley asmaan ko dekh dekh k aaya
aaj phir rona har baat pe aaya
raat beeti kese nahin jaanti
na neend ai na koi sapna aya
taaroun ko dekh k waqt guzara
jab raat ka socha to rona aya
aaj phir rona har baat pe aaya
marta nahin koi kissi k liye
yeh socha to be- inteha rona aya
rota nahin koi kissi k ghum mein
mujhe jaaney kiu tujhe soch k aya
aaj phir rona har baat pe aaya
kia thi mein, aur abh kia hun
ainey mein dekha to eik ajnabi chehra nazar aya
koi kia hosla de ga mujh ko
mujhe khud apni halat pe rona aya
aaj phir rona har baat pe aaya
tere na honei ka kheyaal aya
aaj phir mein tanha bethi
aaj phir rona har baat pe aaya
tu ja chukka hai dil ko samjhaya
younhi bewaja khud ko behlaya
bahaar aai, har janib hain phool khilley
pholoun ne bhi beeta zamana yaad dilaya
neeley asmaan ko dekh dekh k aaya
aaj phir rona har baat pe aaya
raat beeti kese nahin jaanti
na neend ai na koi sapna aya
taaroun ko dekh k waqt guzara
jab raat ka socha to rona aya
aaj phir rona har baat pe aaya
marta nahin koi kissi k liye
yeh socha to be- inteha rona aya
rota nahin koi kissi k ghum mein
mujhe jaaney kiu tujhe soch k aya
aaj phir rona har baat pe aaya
kia thi mein, aur abh kia hun
ainey mein dekha to eik ajnabi chehra nazar aya
koi kia hosla de ga mujh ko
mujhe khud apni halat pe rona aya
aaj phir rona har baat pe aaya
BARF GIRL- Admin
- Number of posts : 271
Age : 39
Location : ||=IN D3AD SOUL=||
Job/hobbies : Painting,Reading,Writing,
Registration date : 2008-10-14
Page 1 of 1
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum
|
|