Friends & Friends
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

HUMESHA TUMHAARI AANKHON KE DAIRE MAIN ULAJHTI HUN

Go down

HUMESHA TUMHAARI AANKHON KE DAIRE MAIN ULAJHTI HUN Empty HUMESHA TUMHAARI AANKHON KE DAIRE MAIN ULAJHTI HUN

Post by BARF GIRL 20th October 2008, 11:58 pm

Humesha tumhaari aankhon ke daire main ulajhti hun
ek sawaal aur ek jawaab ko main talaashti hun

bhatak rahi hai meri zindagi issi kashmakash main
taaron ki tim-timahat ki tarha kabhi jalti kabhi bujhti hun

aah-o-fariyaad dard-o-fugaan kuch bhi na kaam aaya
is kafas main sar patak ke dard se jhujhti hun

sangdil sanam se dil lagake pachtaai thak haar gai
roz taqdeer ke hathon zindagi ko samet ke sulajhti hun

khuda ko bhi na reham aaya "aarzoo"-e- dil par
shab-o-sehar zindagi jeene ke haathon ulajhti hun
BARF GIRL
BARF GIRL
Admin

Number of posts : 271
Age : 39
Location : ||=IN D3AD SOUL=||
Job/hobbies : Painting,Reading,Writing,
Registration date : 2008-10-14

Back to top Go down

Back to top

- Similar topics

 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum